Relationships
Sang Ho

Ye lamha lug raha kuch khas, sath na dikhta tu par hai tere sath honey ka ehsas..

Roshni main chalta mujh sang bann key mera saya..andherey main tu na hua dur, sambhaalne ko mujhe tu mujhme samayaa.

Khayalo main mere jo basta hai tu,.

jagg kese dekhe teri kayaa mere roop main he to chalta hai tu

Hasi main meri tu muskurata hai, gamm main mere ansu bhi bahata hai

Mehsus karu jab tujhe. Duniya se nazre churau, padh na le wo mere dil ka haal, chupane ko usey main mann he mann muskau.

Sundar hai wo tere pyar ka ehsas, sapne bunti rahu main anayaas.

Pyar key kai naye rang hu dekh rai, har lamha tere liye apne jeewan ki yadein hu samet rahi..

Achanak jab tu ayega nazar, sari taiyari meri ho jayegi be asar..

Ab tak to chal rahi hoon tanha dagar, tere milne par hum ban jayenge hum safar.

 

Manisha Dawar

Share your thoughts, comments with us*

Fiction, Relationship and Learning from Life MadhuKarama Gurugram India